Change Language
Follow Us
Latest Jobs

Bhojpur Court PLV Bharti 2026: Zila Nyayalaya me Para Legal Volunteer ke 140 Pado par Sidhi Bharti, Aise Karein Avedan

DS Helping Forever Team
By DS Helping Forever Team On November 2, 2026
8 min read • 1.2k views
Bhojpur Court PLV Bharti 2026

Job Highlights & Overview

Verified Opening Government
Post / Designation Para Legal Volunteer (PLV)
Total Vacancies 140 Posts Posts
Salary / Pay Scale ₹750 Per Day
Qualification / Eligibility Matriculation (10th Pass)
Job Location Bhojpur (Ara), Bihar
Age Limit Minimum 18 Years (Bharat ka nagrik ho)
Last Apply Date 19 November 2026 (Sham 05:00 PM)
Exam / Admit Card Interview ke aadhar par sidhi bharti (Admit Card / Suchna court notice board par aayegi)
Eligibility Criteria mmidwar kisi manyata prapt board se 10th pass ho, Bhojpur zila ka sthaniye niwasi ho, samajik karya me ruchi rakhta ho aur koi criminal background na ho.
Selection Process Direct Interview (Bina kisi written exam ke) -> Document Verification
Application Fee Nill (Kewal ₹55 ka dak ticket laga hua lifafa sath bhejna aniwarya hai)
Important Dates Offline Application Shuru: Shuru ho chuka hai | Last Date: 19 November 2026 (Sham 5 baje tak) | Interview Date: Jald suchit kiya jayega

Bhojpur (Ara) zila nyayalaya me samvidha/swachhik aadhar par samaj seva aur court ke kamo se judne ka shandar avsar samne aaya hai. District Legal Services Authority (DLSA), Bhojpur ne Para Legal Volunteers (PLV) ke 140 pado par recruitment notification jari kiya hai.

Aise sabhi 10th pass ummidwar jo DS Helping Forever Latest Jobs ke updates follow karte hain aur court se judkar anubhav lena chahte hain, wo 19 November 2026 tak apna offline form jama kar sakte hain. Rajya aur kendra star ki anya pratyogi parikshaon ki jankari ke liye aap humara Sarkari Result Section bhi visit kar sakte hain.

PLV Ka Kaam Kya Hota Hai? (Bhojpur Court PLV Bharti 2026)

Para Legal Volunteer koi sarkari permanent naukri nahi hoti, balki yeh ek samajik aur kanooni seva ka pad hai:

  • Gaon aur kasbo ke gareeb aur pichhde logo ko kanooni sahayata aur adhikar dilane me madad karna.
  • Aam logo aur court ke kanooni sahayata kendra (DLSA) ke beech bridge (pul) ki tarah kaam karna.
  • Sarkar ki kanooni jagrukta yojanaon ko janta tak pahunchana.
  • Man-deya (Honorarium): Jab DLSA dwara kisi din kaam saupa jayega, toh prati din ₹750 ke hisab se bhugtan kiya jayega.

Kaun Avedan Kar Sakta Hai Aur Kaun Nahi?

Yeh log aavedan kar sakte hain:

  • Bhojpur zile ke sthaniye niwasi jo kam se kam 10th pass hain.
  • Shikshak, sewanivrit (retired) karmchari, aanganwadi karyakarta, samajsevi, mahila mandal ke sadasya aur college ke chhatra.
  • Aise vyakti jinki samaj me achhi chhavi ho aur jinka koi police record ya criminal case na ho.

Yeh log aavedan nahi kar sakte:

  • Vakeel (Advocates) ya kanooni practice karne wale log is pad ke liye aavedan ke patra nahi hain.

Selection Process of Bhojpur Court PLV Bharti 2026

Is bharti me koi likhit pariksha (written exam) nahi li jayegi:

  1. Interview (Sakshatkar): Prapt aavedano ki chhanbin ke baad patra ummidwaro ko DLSA Bhojpur office me interview ke liye bulaya jayega.
  2. Document Verification: Interview ke samay mool praman patro ki jaanch ki jayegi aur antim merit list court ke notice board par lagayi jayegi.

Offline Avedan Kaise Karein? (Step-by-Step Tarika)

  1. Niche diye gaye link se official notification aur application form download karein aur print out nikalwayein.
  2. Form me maangi gayi jankari (Naam, Pitaji ka naam, Janm tithi, Pura pata, Shiksha aadi) saaf aksharo me bharein.
  3. Form par apni passport size photo chipkayein aur us par cross sign karein.
  4. Apni 10th ki marksheet, aadhar card, niwas praman patra aur aacharan/charitra praman patra ki photo copy par sign (Self-Attest) karke sath jodein.
  5. Ek anivarya lifafa sath lagayein jis par ₹55 ka dak ticket laga ho aur aapka khud ka pura pata likha ho.
  6. Aavedan patra ko ek bade lifafe me dalein aur lifafe ke upar likhein: “पैरा लीगल वालंटियर्स (PLV) के चयन हेतु आवेदन पत्र”.
  7. Is lifafe ko registered dak, speed post ya DLSA karyalay Bhojpur (Ara) me jaakar hatho-hath 19 November 2026 sham 5:00 baje se pehle jama kar dein.

FAQs: Bhojpur Court PLV Bharti 2026

Q1: Bhojpur PLV bharti me apply karne ki last date kya hai?

Aavedan form jama karne ki aakhri tarikh 19 November 2026 (sham 5:00 baje tak) rakhi gayi hai.

Q2: Is post par selection hone par kitna paisa milega?

DLSA dwara jis din karya saupa jayega, us din ke hisab se ₹750 pratidin man-deya milega.

Q3: Kya isme koi written pariksha hogi?

Nahi, isme koi likhit pariksha nahi hogi; sidhe interview ke aadhar par selection kiya jayega.

Download Official Notification & FormDownload PDF
Bhojpur District Court Official Websitehttps://bhojpur.dcourts.gov.in
DS Helping Forever Telegram ChannelJoin Telegram Group
Latest Government Job UpdatesCheck Latest Jobs Here

Official Application Notice

Interested in this vacancy? Take action today!

Ensure you review all recruitment notifications, minimum eligibility requirements, and deadline dates before applying.

Download Notification & Form → Official Website
DS Helping Forever Team
Author & Editor

DS Helping Forever Team

Bringing you the latest verified employment notifications, recruitment details, and exam updates.

Leave a Comment